(1)
E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde…………
(2)
Zikar unka hi raha mere fasane mein
jinko jaan se zyada chaha humne zamane mein
tanhai mein unki hi yaad ka sahara mila
nakamyab rahe jinhe hum bhulane mein.
(3)
Tere pyar ka sila har haal me denge,
Khuda bhi maange ye dil to taal denge,
Agar dil ne kaha tum bewafa ho,
To is dil ko bhi sine se nikal denge.
(4)
Ashiq ankhon ki baat samajh lete hai,
woh khwabo me aayen toh mulakat samajh lete hai,
rota hai aasman apni zamin ke liye,
log pagal hai usse barsat samajh lete hain.!
(5)
Lamha Lamha Sanse Khatm Ho Rahi Hai,
Jindagi Maut Ke Pahloo Me So Rahi Hai,
Us Bewafa Se Mat Pucho Meri Maut Ki Wajah,
Wo To Bus Jamane Ko Dikhane Ke Liye Ro Rahi Hai
"You don,t believe It"
-----------------------
(6)
Rishta humara is jaha me sabse pyara ho
Jaise zindgi ko sanso ka sahara ho
Yaad karna hume us pal me
Jab tum akele ho aur koi na tumhara ho.
(7)
Khamoshiyo me 1 ada itni pyari lagi,
Duniya me apki dosti sabse nyari lagi,
Dua karte hai ye na tute kabhi,
kyuki is duniya me ik to hi hamko hmari lagi.
(8)
Phool Se Kisi Ne poocha,
Tu Ne Sub Ko Khushbu De
Par Tujhe Kya Mila,
Phool Ne Kaha :
Dena Lena To Vyapaar Hai,
Jo Dekar Kuch Na Mange,
Woh Pyar Hai.
(9)
Zakhm Khana To Apni Aadat Hai,
Muskurana To Apni Aadat Hai,
Roshni Ho Ya Ghup Andhera,
Dil Jalana To Apni Aadat Hai.
(10)
Kabar k sannate me se ek awaz aayi
Kisi ne phool rakhkar aansu ki do bund bahai.
Jabtak tha jinda tabtak thokar khai
Ab so raha hu to usko meri yaad aayi.
(11)
Kaash yeh dil sheeshay ka bana hota
chot lagti to beshaq yeh fanah hota.
Par sunte jab woh aawaz iske tootney ki
ya khuda tab to unhe ehsaas-e-gunah hota!
(12)
Thak gaye hm unka Intzar krte krte
roye hazar bar khudse takrar krte krte.
Do lafz unki zuban se na nikle,
aur Tut gaye hm ektarfa pyar krte krte.
(13)
Humne to tujhe kabhi gair nahi samjha
tu bhi apna hone ka kuch haq jata de.
yu gawara nahi jeena bin tere mujhe
koi to wajah bata de.
dooba hu jis kadar teri chaht mein tu bhi doobe
aise kuch to haalat bana de.
kuch or nahi to kar itna karam
jahan tu yaad na aaye wo jagah bata de.
(14)
Hamari yaad me wo bhi kabhi khoye honge,
Khuli aankhon se wo bhi kabhi soye honge,
Mana ke muskurana andaaz hai gam chupane ka,
Magar hanste hanste wo bhi kabhi roye honge..
(15)
Sabhi nagme saaz mein gaaye nahin jaate
Sabhi log mehfil mein bulaaye nahin jaate
Kuch paas reh kar bhi yaad nahi aate
Kuch door reh kar bhi bhulaaye nahi jaate
(16)
Muje tujhse milne ki takdeer nazar aayi
Apne pairon mein zanjeer nazar aayi,
Jitne aansu bahe teri yaad mein,
Har aansu mein teri tasveer nazar aayi.
(17)
Yado Me Tumhari Aansu Banke Aynge,
DilMe Tumhre Vishwas Banke Aynge,
Yaad Karna Bas Sacche MannSe,
Amawas ki raat ko punam ka chand banke Aynge.
(18)
Woh Keh Gaye Ki Mera Intezaar Mat Karna,
Main Kahu Bhi To Muj Pe Aitbaar Mat Karna,
Wo Kehte hai Ke Mujhe Tumse Mohabaat Nahi,
Par Tum Kisi Aur Se Pyaar Mat Karna…..!!!
(19)
dekho meri ankhon may khwab kis k hain,
dekhon dil me tufan kis k hai,
tum kahte ho mere dil k raste se koi nai guzra,
to phir ye pairon k nisha kis k hai.
(20)
Apnay dushman say hi dil laga baithay,
Unki saadgi say faraib kha baithay,
Patharon say tha apna rishtaa,
Phir bhi sheeshay k ghar bana baithe..
(21)
Badal garaja magar barsaat nahi aayi,
Dil dharka magar aawaz nahi aayi,
pal-din-saal gujar gaye hai mere dost,
kya ek baar bhi meri yaad nahi aayi?
(22)
Ye raat itni tanha kyun hoti hai
Kismat se sabko apni shikayat kyun hoti hai
Ajeeb khel khelti hai kismat
Jise hum pa nahi sakte usi se mohabbat kyun hoti hai
(23)
Hum tumhe chahte tho bohat hai
Chahat ke badle chahat hi chahate hai
Kya kehne hamari chahat ke
Ki hum jise chahte hai wo kisi aur ko chahte hai
(24)
Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hain
Meri har aah har dard samajhti hain.
Pata hai majbuur hai tu bhi aur main bhi
Phir bhi aankhein tere deedar ko tarasti hain
(25)
Aaj To Hum Maut Ki Dua Kar Ke Roye Hain
Dobara Aaj Khuda Se Gila Kar Ke Roye Hain
Kyon Na Likh Saka Tu Us Ko Taqdeer Mein Meri
Yeh Ek Khayal Soch Kar Phir Hum Roye Hain
(26)
Shikayat na karta zamane se koi,
Agar maan jata manane se koi,
Kisi koh phir yaad na karta koi,
Agar bhool jaate bhoolane se koi.
(27)
chaahat jagi to unko dil me basaa liya
pyar dekar unhe apna banaa liya
maarkar thokar woh hame chal diye
hamne fir bhi unko palkon pe bitha liya
(28)
mushkilo ki fikar kisko thi jab dil lagaya tha
khone ka dard kise pata tha jab pas unhe bulaya tha
dil ki lagi is kadar dillgi ban gayee mere liye
khud apne paseene se apne aansuon ko chhupaya tha
(29)
meri duniya meri aankhon se shuru hoti hai
aur in ankhon ke ashkon me khatam hoti hai
unhone jo ki bewafayee woh jaane
apni wafaa ki hadd to uski chaukhat pe khatam hoti hai
(30)
na hum rahenge
na yeh fasana rahega
na yaad dilaane ko yeh zamana rahega
tum yaad toh karo ge hum ko bohut
par pass bulaane ko ye dewana na rahega..
(31)
Woh sagar nahi aansoo the mere,
Jispar woh kashti chalate rahe.
Manzil mile unhe yeh aarzo thi meri,
Issliye hum aansoo bahate rahe.
(32)
basaane chalaa tha mein khushiyon ki basti
ghamo ne magar rastaa rok liya tha mera
ab koi aur maksad kahan rah gaya hai yaaro
jab zindgi ne hi saath chhod diya tha mera
(33)
Umeed baaki thi uske jaane ke baad bhi
ke shayad ik baar palat ke dekh lenge mujhe
faasla badtaa gaya aur woh nahi aaye
aahat unke kadmo ki ab bhi sunayee deti hai mujhe
(34)
gar ho sake to itna karam kar dena
mere bewafaa sanam ko ye bataa dena
ke baahen ab bhi khuli hain unke liye
ek baar jhoot hi sahi hame apna kah lena
(35)
jhukna na tha kadmo me kisi ke bhi
sar ko fir bhi na utha sake
woh hamse bichhad gaye to kya
ham ab bhi unki yaad dil se na bhula sake
(36)
Kisi ke dil ka dard kisne dekha hain
jisne dekha sirf chahera dekha hain
dard toh tanhaiyo mein hote hain
aur tanhaiyo mein bhi logon ne humhe haaste dekha hain...
(37)
Bagair kisi ko jane ikrar na ki jiye
u muskura kar dil ko bekarar na ki jiye
kabhi kabhi gulab bhi de jaati hain zakham
har gulab par aitbaar na ki jiye..
(38)
Ab Tum Batao Kyon Mujhse Door Ho,
Milna Manzoor Nahi Ya Meri Tarah Majboor Ho.
(39)
Chand utra tha hamare aangan mein,
yeh sitaro ko gawara na hua,
hum bhi sitaron se kya gila karein,
jab chand hi hamara na hua
(40)
Bahut khusnuma kal ki raat guzri,
kuch tanha par kuch khaas guzri,
na neend aayi na khwaab koi,
bas aapke hi khayalon ke saath guzri
(41)
Chot khate hain aur muskurate hain,
is dil ko sabar karna sikhate hain.
Hum to gham lekar bhi yaad rakhte hai,
aur ek woh hain jo gham dekar bhi bhool jate hain .
(42)
Dil tootega to fariyaad karoge tum bhi,
hum na rahe to humein yaad karoge tum bhi.
Aaj kehte ho hamare paas waqt nahi,
par ek din mere liye waaqt barbaad karoge tum bhi
(43)
Dhoka diya tha jab usne mujhe,
zindagi se mein naraaz tha,
phir socha unhe dil se nikaal du,
dekha to woh kambakth dil bhi unke pass tha.....
(44)
Kadam Kadam Par Baharon Ne Sath Chod Diya,
Pada Jab Wakt To Apno Ne Sath Chod Diya.
Kasam Kaii Thi In sitaron Ne, Sath Dene Ki ,
Subah Hote Hi Sitaron Ne Bhi Sath Chod Diya.
(45)
Dil ko aata hai jab bhi khayaal unka
tasbeer se puchhte hai fir haal unka
wo kabhi hamse puchha karte the "judai" kya hai
aaj samajh aaya hai sawaal unka....?
(46)
Mohabbat ka imtihaan aasan nahi,
Pyaar sirf paaney ka naam nahi,
Muddatein beeth jaati hai kissi ke intezaar mein,
Yeh sirf pal do pal ka kaam nahin.
(47)
Hum toh sirf aapki baat kiya karte hain,
Har dhadkan pey aapki naam liya karte hain,
Aap hoh humey humari jaan sey bhi pyaare,
Tabhi toh waqt bewaqt aapko yaad kiya karte hain.
(48)
Samja do apni yado ko,
wo bin bulaye pas aaya karti hai,
aap to dur rehkar satate ho magar,
wo pas aakar rulaya karti hai
(49)
amane se bahot alag ho aap..,
khush kismat hai jiske paas ho Aap..,
hamare liye wo waqt hi hasin hai..,
Jab hame yaad karke DIL se Muskurate ho Aap
(50)
Zamane se nahin hum tanhai se darte hain,
Pyar se nahin hum rusvayee se darte hain,
Dil mein umang hai tujhse milne ki,
Par milne ke baad aane wali judaai se darte hain.
(51)
zindagi aik chaahat ka silsila hai
koi kisi se mil jata hai koi bichar jaata hai
jisse hum maangte hain duaaon mai
wo kisi ko bin maange hi mil jaata hai
(52)
taabeer jo mil jaati to aik khuaab buhut tha
jo shakhs ganwa baithe wo nayaab buhut tha
mai kaise bacha leta kasht-e-dil ko
darya-e-mohabat mai sailab buhut tha
(53)
Yado ki har din me
Yado ki ek subha thi
Yado ki har din me Yado ki ek raat thi
Haa mere dil ki dhadkane tumhe bhula na saki
Kyoki tumme bhi alag ek bat thi
(54)
Raaz dil ka dil mein chupate hai woh,
Samne aate hi nazar jhukate hai woh,
Baat karte nahi, ya hoti nahi,
Par shukar hai jab bhi deedar hota hai toh muskurate hai woh
(55)
waqt ki raho me aap bhula de chahe hame
per hum aapko bhula nahi payenge..
pyar se awaz dena hame sapno me
hum haqiqat me daude chale aayenge.....
(56)
hamare pyar ko na kabhi dil se juda karna,
zindagi me na kabhi ye gunah karna,
kuch pal chahe beet jaye baat kiye bina,
zindagi na beet jaaye, bus ye dua karna...
(57)
kitni parwaah karte hianhum aapki
kaash aap ko ye ehsaas ho jaaye
aisa na ho aap tab hosh mai aayen
jb hum hamesha k liye khamosh ho jayen
(58)
Kaun Kheta hai ke judai hogi ,
yeh khabar kisi gair ne udai hogi.
shann se rahenge dil main tumahre,
akhir kuch jagha humne bi to banai hogi.
(59)
Paane Se Khone Ka Maza Kuch Or Hai...
Bandh Ankhon Main Rone ka Maza Kuch Or hai..
Ansoo Bane Lafz Aur Lafz Bane Ghazal....
Or Uss Ghazal Main Tera Naam Hone Maza Kuch Or Hai...
(60)
Mehfil Na Sai Tanhai Tu Mili Hai
Milna Na Sahi Judai To Milti Hai
Kon Kehta Hai Muhabat Main
Kuch Nahi Milta
Wafa Na Sahi Bewafai Tu Milti
Hai
(61)
Apni hi Zaat ka Irfaa'n na hua Insaan ko
Khak phir khak thi fir bhi gyan na huaa insaan ko.
(62)
Kash wo nagme sunaye na hote
Aaj unko sunkar ye Ansu aaye na hote
Agar is tarah bhul jana hi tha
To itni gehrai se dilme samaye na hote.
(63)
Apne pyar ko chupana chaha par chupa na sake,
diwane dil pe kabu hum pa na sake,
aaj itne karib se gujar gaye wo,
phir bhi unka hath hum tham na sake
(64)
kabi to ye dil zaror rota hai,
jab koi apna mil kar nazron se door hota hai,
kyon roti hai kambhat ankhai,
kyun k dil se zyada inka hi kasoor hota hai.
(65)
hum ko bhool pao ge kaisay dil sey hamain bhulao ge kaisay
hum to wo khushboo hain jo sansoo mei rahte hai
apni sansoon ko rok pao gey kaisay
(66)
zindagi kya thi kaya bana di main ne. har khushi apni
us pe luta di main ne. us ne kabhi bhi apne dil ki na kahi
dil ki har bat bata di hum ne
If you like my work please Comment here i feel better
pembroke pines locksmith
It would be interesting to see what happens to Libwe Jalawe, if he writes to the address. If the college is bound by rules laid down by bureaucrats, the chances are slim indeed. It is a pity that in the IT sector where you can find school drop outs succeeding like Bill Gates, and Steve Jobs, qualifications assume such importance.
Cure Adult Acne
Acne treatments consist of reducing sebum production, removing dead skin cells, and killing bacteria with topical drugs and oral medications. Treatment choice depends upon whether the acne is mild, moderate, or severe.
http://www.cureforadultacne.com/
Alternative treatments for acne focus on self care: proper cleansing to keep the skin oil-free; eating a well-balanced diet high in fiber, zinc, and raw foods; and avoiding alcohol, dairy products, tobacco, caffeine, sugar, processed foods, and foods high in iodine, such as salt.
Subscribe to:
Posts (Atom)