My favorite
(1)
Har kisi ko khusi dete hai
gamo ko tabbsum mai badal dete hai
hamen to kanto se bhi muhabbat hai
jaane kyu log fulon ko masal dete hai.
(2)
vakt noor ko benoor kar deta hai
Chhote se jakhm ko maasoor kar deta hai
kon chahta hai apno se door rahna
Vakt sabko majboor kar deta hai.
(3)
Har saahil ko kinaara mat samjho
Har dost ko sahara mat samjho
Najar najar mai fark hota hai
Har najar ko isaara mat samjho.
(4)
Mera har chalan niraala hai
Maine har gam ko khusi mai dhala hai
Jin hadson mai log marte hai
Un hadson ne mujhe paala hai.
(5)
Mangi thi dua aashiyane ki
Chal padi aandhiyan jamaane ki
Mera vakt koi na samajh saka
Kyonki meri aadat thi muskurane ki.
(6)
Mat karo bada jise tum nibha na sako
Mat chaho unhen jinhe tum paa na sako
Payar kahan kisi ka pura hota hai
Kyonki pyar ka to pehla achhar hi adhura hota hai.
(7)
Dosti achhi ho toVakt bhi ruk jata hai
Asman laakh uncha ho jhuk jata hai
Dosti mai duniyan bane laakh rukabat
Dost agar sachha ho to khuda bhi jhuk jata hai.
(8)
Esa koi jahan mile
chehron pe muskaan mile
Kaash mile mandir mai allah
Aur masjid mai bhagwan mile
(9)
Subhah muhabbat saam muhabbat
apna to hai kaam muhabbat
Hamen to dono se karte hai
Allah ho ya raam muhhabbat.
(10)
Bhul se koi bhul ho to bhul samjhkar use bhul jana
Bhulana kebal bhul ko kahin bhul se hamen na bhul jana.
(11)
Kuchh riste upar bante hai
Kuchh riste ham banate hai
Vo log khas hote mai
Jo bina riston ke riste nibha jaate hai.
(12)
Dosti vo ehsaas hai jo kabhi mitata nai
Dosti vo parvat hai jo kabhi jhukta nahi
Iski keemat puchho hamse
Ye vo moti hai jo bikta nahi.
(13)
Pyar ka pehla isk ka dusra
Muhabbat ka tisra akshar adhura hota hai
Isi liye to ham tumhe chate hai
Kyoki chaahat ka har akshar pura hota hai.
(14)
Dard mai koi mosam pyar ka nahi hota
dil ho pyasa to paani se gujara nahi hota
dekhe jarakoi bebasi hamaari
Ham uske ho jaate hai jo hamaara nahi hota.
(15)
Jindgi ke liye jina jaruri hota hai
jine ke liye armaan jaruri hai
chahe ho jindgi mai kitane gam
Aapke chahre pe muskaan jaruri hai.
(16)
Kashis dil ki har cheej ko bhula deti hai
band aankhon mai bhi sapne saja deti hai
sapno ki duniya jarur rakhna dosto
Kyonki hakikat aksar rula deti hai.
(17)
Muskurana hi to khusi nahi hoti
Umra bitana hi jindgi nahi hoti
Khud ko itana padta hai dosti mai
Kyonki dost kehna hi dosti nahi hoti.
(18)
Dila ka raj nigahon se bayan hota hai
Muhabbat mai to yaar hi khuda hota hai
Jo pyar jism hai ruh se kiya jaaye
Duniyan mai esa pyar kahan hota hai.
(19)
Har ek se achhi baat karna fitrat hai hamaari
Har koi khus rahe ye hasrat hai hamaari
koi hamko yaad kare ya na kare par sabko yaad karna aadat hai.
(20)
Jindgi lehar thi aap saahil huye
Na jaane kaise ham aapke kabil huye
Na bhul payenge ham us pal ko jab
aap hamaari jindgi mai saamil huye
(21)
Koyi na mila esa jis par duniya luta dete
Sabne diya dhokha kis kis ko bhula dete
aapne dil ka dard dil mai hi dabaye
rakhkha hai Gar karte bayan to mehfil ko rula dete.
(22)
Ham hava nahi jo kho jayenge
Ham mosam nahi jo badal jayenge
Ham vo hai jo kushi or gam mai bhi najar aayenge.
(23)
Jiske paas kuchh nahi hota us par duniya hasti hai
Jiske paas sabkuchh hota hai usase duniya jalti hai
Hamare paas aapki dosti hai jise paane ko duniya tarasti hai.
(24)
Gujre kal ki yaad aati hai
Kuchh lamho se aankhe bhar aati hai
saam doob jati hai subah-2 jab aap jaise dost ki yad aati hai
(25)
Rab se aapki khusi mangte hai
duaa mai aapki hansi magte hai
sochha ki kya mange aapse
Aur aapse se umra bhar ki dosti mang lete hai.
(26)
Byayaam to sabhi karte hai mai barjis bhi kiya karta hun
bepanah muhabbat thi tumse ab nafrat bhi kiya karta hun.
If you like it Please comment me i feel better
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment