Bewafai shayri

on Tuesday, May 12, 2009


+ तुम कब आओगे +

(1)

E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde…………

(2)

Zikar unka hi raha mere fasane mein
jinko jaan se zyada chaha humne zamane mein
tanhai mein unki hi yaad ka sahara mila
nakamyab rahe jinhe hum bhulane mein.

(3)

Tere pyar ka sila har haal me denge,
Khuda bhi maange ye dil to taal denge,
Agar dil ne kaha tum bewafa ho,
To is dil ko bhi sine se nikal denge.

(4)

Ashiq ankhon ki baat samajh lete hai,
woh khwabo me aayen toh mulakat samajh lete hai,
rota hai aasman apni zamin ke liye,
log pagal hai usse barsat samajh lete hain.!


(5)

Lamha Lamha Sanse Khatm Ho Rahi Hai,
Jindagi Maut Ke Pahloo Me So Rahi Hai,
Us Bewafa Se Mat Pucho Meri Maut Ki Wajah,
Wo To Bus Jamane Ko Dikhane Ke Liye Ro Rahi Hai


"You don,t believe It"
-----------------------


(6)

Rishta humara is jaha me sabse pyara ho
Jaise zindgi ko sanso ka sahara ho
Yaad karna hume us pal me
Jab tum akele ho aur koi na tumhara ho.

(7)

Khamoshiyo me 1 ada itni pyari lagi,
Duniya me apki dosti sabse nyari lagi,
Dua karte hai ye na tute kabhi,
kyuki is duniya me ik to hi hamko hmari lagi.

(8)

Phool Se Kisi Ne poocha,
Tu Ne Sub Ko Khushbu De
Par Tujhe Kya Mila,
Phool Ne Kaha :
Dena Lena To Vyapaar Hai,
Jo Dekar Kuch Na Mange,
Woh Pyar Hai.

(9)

Zakhm Khana To Apni Aadat Hai,
Muskurana To Apni Aadat Hai,
Roshni Ho Ya Ghup Andhera,
Dil Jalana To Apni Aadat Hai.

(10)

Kabar k sannate me se ek awaz aayi
Kisi ne phool rakhkar aansu ki do bund bahai.
Jabtak tha jinda tabtak thokar khai
Ab so raha hu to usko meri yaad aayi.


(11)


Kaash yeh dil sheeshay ka bana hota
chot lagti to beshaq yeh fanah hota.
Par sunte jab woh aawaz iske tootney ki
ya khuda tab to unhe ehsaas-e-gunah hota!

(12)


Thak gaye hm unka Intzar krte krte
roye hazar bar khudse takrar krte krte.
Do lafz unki zuban se na nikle,
aur Tut gaye hm ektarfa pyar krte krte.


(13)

Humne to tujhe kabhi gair nahi samjha
tu bhi apna hone ka kuch haq jata de.
yu gawara nahi jeena bin tere mujhe
koi to wajah bata de.
dooba hu jis kadar teri chaht mein tu bhi doobe
aise kuch to haalat bana de.
kuch or nahi to kar itna karam
jahan tu yaad na aaye wo jagah bata de.

(14)

Hamari yaad me wo bhi kabhi khoye honge,
Khuli aankhon se wo bhi kabhi soye honge,
Mana ke muskurana andaaz hai gam chupane ka,
Magar hanste hanste wo bhi kabhi roye honge..

(15)

Sabhi nagme saaz mein gaaye nahin jaate
Sabhi log mehfil mein bulaaye nahin jaate

Kuch paas reh kar bhi yaad nahi aate
Kuch door reh kar bhi bhulaaye nahi jaate

(16)

Muje tujhse milne ki takdeer nazar aayi
Apne pairon mein zanjeer nazar aayi,
Jitne aansu bahe teri yaad mein,
Har aansu mein teri tasveer nazar aayi.

(17)


Yado Me Tumhari Aansu Banke Aynge,
DilMe Tumhre Vishwas Banke Aynge,
Yaad Karna Bas Sacche MannSe,
Amawas ki raat ko punam ka chand banke Aynge.


(18)

Woh Keh Gaye Ki Mera Intezaar Mat Karna,
Main Kahu Bhi To Muj Pe Aitbaar Mat Karna,
Wo Kehte hai Ke Mujhe Tumse Mohabaat Nahi,
Par Tum Kisi Aur Se Pyaar Mat Karna…..!!!


(19)


dekho meri ankhon may khwab kis k hain,
dekhon dil me tufan kis k hai,
tum kahte ho mere dil k raste se koi nai guzra,
to phir ye pairon k nisha kis k hai.


(20)

Apnay dushman say hi dil laga baithay,
Unki saadgi say faraib kha baithay,

Patharon say tha apna rishtaa,
Phir bhi sheeshay k ghar bana baithe..


(21)


Badal garaja magar barsaat nahi aayi,
Dil dharka magar aawaz nahi aayi,

pal-din-saal gujar gaye hai mere dost,
kya ek baar bhi meri yaad nahi aayi?


(22)

Ye raat itni tanha kyun hoti hai
Kismat se sabko apni shikayat kyun hoti hai
Ajeeb khel khelti hai kismat
Jise hum pa nahi sakte usi se mohabbat kyun hoti hai


(23)

Hum tumhe chahte tho bohat hai
Chahat ke badle chahat hi chahate hai
Kya kehne hamari chahat ke
Ki hum jise chahte hai wo kisi aur ko chahte hai


(24)


Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hain
Meri har aah har dard samajhti hain.
Pata hai majbuur hai tu bhi aur main bhi
Phir bhi aankhein tere deedar ko tarasti hain


(25)

Aaj To Hum Maut Ki Dua Kar Ke Roye Hain
Dobara Aaj Khuda Se Gila Kar Ke Roye Hain
Kyon Na Likh Saka Tu Us Ko Taqdeer Mein Meri
Yeh Ek Khayal Soch Kar Phir Hum Roye Hain


(26)

Shikayat na karta zamane se koi,
Agar maan jata manane se koi,
Kisi koh phir yaad na karta koi,
Agar bhool jaate bhoolane se koi.


(27)


chaahat jagi to unko dil me basaa liya
pyar dekar unhe apna banaa liya
maarkar thokar woh hame chal diye
hamne fir bhi unko palkon pe bitha liya


(28)

mushkilo ki fikar kisko thi jab dil lagaya tha
khone ka dard kise pata tha jab pas unhe bulaya tha
dil ki lagi is kadar dillgi ban gayee mere liye
khud apne paseene se apne aansuon ko chhupaya tha


(29)

meri duniya meri aankhon se shuru hoti hai
aur in ankhon ke ashkon me khatam hoti hai
unhone jo ki bewafayee woh jaane
apni wafaa ki hadd to uski chaukhat pe khatam hoti hai

(30)

na hum rahenge
na yeh fasana rahega
na yaad dilaane ko yeh zamana rahega
tum yaad toh karo ge hum ko bohut
par pass bulaane ko ye dewana na rahega..


(31)


Woh sagar nahi aansoo the mere,
Jispar woh kashti chalate rahe.
Manzil mile unhe yeh aarzo thi meri,
Issliye hum aansoo bahate rahe.


(32)

basaane chalaa tha mein khushiyon ki basti
ghamo ne magar rastaa rok liya tha mera
ab koi aur maksad kahan rah gaya hai yaaro
jab zindgi ne hi saath chhod diya tha mera


(33)

Umeed baaki thi uske jaane ke baad bhi
ke shayad ik baar palat ke dekh lenge mujhe
faasla badtaa gaya aur woh nahi aaye
aahat unke kadmo ki ab bhi sunayee deti hai mujhe


(34)

gar ho sake to itna karam kar dena
mere bewafaa sanam ko ye bataa dena
ke baahen ab bhi khuli hain unke liye
ek baar jhoot hi sahi hame apna kah lena


(35)

jhukna na tha kadmo me kisi ke bhi
sar ko fir bhi na utha sake
woh hamse bichhad gaye to kya
ham ab bhi unki yaad dil se na bhula sake


(36)


Kisi ke dil ka dard kisne dekha hain
jisne dekha sirf chahera dekha hain
dard toh tanhaiyo mein hote hain
aur tanhaiyo mein bhi logon ne humhe haaste dekha hain...

(37)


Bagair kisi ko jane ikrar na ki jiye
u muskura kar dil ko bekarar na ki jiye
kabhi kabhi gulab bhi de jaati hain zakham
har gulab par aitbaar na ki jiye..


(38)

Ab Tum Batao Kyon Mujhse Door Ho,
Milna Manzoor Nahi Ya Meri Tarah Majboor Ho.

(39)

Chand utra tha hamare aangan mein,
yeh sitaro ko gawara na hua,
hum bhi sitaron se kya gila karein,
jab chand hi hamara na hua

(40)

Bahut khusnuma kal ki raat guzri,
kuch tanha par kuch khaas guzri,
na neend aayi na khwaab koi,
bas aapke hi khayalon ke saath guzri

(41)

Chot khate hain aur muskurate hain,
is dil ko sabar karna sikhate hain.
Hum to gham lekar bhi yaad rakhte hai,
aur ek woh hain jo gham dekar bhi bhool jate hain .

(42)


Dil tootega to fariyaad karoge tum bhi,
hum na rahe to humein yaad karoge tum bhi.
Aaj kehte ho hamare paas waqt nahi,
par ek din mere liye waaqt barbaad karoge tum bhi

(43)

Dhoka diya tha jab usne mujhe,
zindagi se mein naraaz tha,
phir socha unhe dil se nikaal du,
dekha to woh kambakth dil bhi unke pass tha.....

(44)


Kadam Kadam Par Baharon Ne Sath Chod Diya,
Pada Jab Wakt To Apno Ne Sath Chod Diya.
Kasam Kaii Thi In sitaron Ne, Sath Dene Ki ,
Subah Hote Hi Sitaron Ne Bhi Sath Chod Diya.

(45)


Dil ko aata hai jab bhi khayaal unka
tasbeer se puchhte hai fir haal unka
wo kabhi hamse puchha karte the "judai" kya hai
aaj samajh aaya hai sawaal unka....?

(46)


Mohabbat ka imtihaan aasan nahi,
Pyaar sirf paaney ka naam nahi,
Muddatein beeth jaati hai kissi ke intezaar mein,
Yeh sirf pal do pal ka kaam nahin.

(47)

Hum toh sirf aapki baat kiya karte hain,
Har dhadkan pey aapki naam liya karte hain,
Aap hoh humey humari jaan sey bhi pyaare,
Tabhi toh waqt bewaqt aapko yaad kiya karte hain.

(48)


Samja do apni yado ko,

wo bin bulaye pas aaya karti hai,

aap to dur rehkar satate ho magar,

wo pas aakar rulaya karti hai

(49)


amane se bahot alag ho aap..,

khush kismat hai jiske paas ho Aap..,

hamare liye wo waqt hi hasin hai..,

Jab hame yaad karke DIL se Muskurate ho Aap

(50)


Zamane se nahin hum tanhai se darte hain,
Pyar se nahin hum rusvayee se darte hain,
Dil mein umang hai tujhse milne ki,
Par milne ke baad aane wali judaai se darte hain.

(51)


zindagi aik chaahat ka silsila hai
koi kisi se mil jata hai koi bichar jaata hai

jisse hum maangte hain duaaon mai
wo kisi ko bin maange hi mil jaata hai

(52)


taabeer jo mil jaati to aik khuaab buhut tha
jo shakhs ganwa baithe wo nayaab buhut tha

mai kaise bacha leta kasht-e-dil ko
darya-e-mohabat mai sailab buhut tha

(53)


Yado ki har din me

Yado ki ek subha thi

Yado ki har din me Yado ki ek raat thi

Haa mere dil ki dhadkane tumhe bhula na saki

Kyoki tumme bhi alag ek bat thi

(54)


Raaz dil ka dil mein chupate hai woh,
Samne aate hi nazar jhukate hai woh,
Baat karte nahi, ya hoti nahi,
Par shukar hai jab bhi deedar hota hai toh muskurate hai woh

(55)


waqt ki raho me aap bhula de chahe hame
per hum aapko bhula nahi payenge..
pyar se awaz dena hame sapno me
hum haqiqat me daude chale aayenge.....

(56)


hamare pyar ko na kabhi dil se juda karna,
zindagi me na kabhi ye gunah karna,
kuch pal chahe beet jaye baat kiye bina,
zindagi na beet jaaye, bus ye dua karna...

(57)


kitni parwaah karte hianhum aapki
kaash aap ko ye ehsaas ho jaaye

aisa na ho aap tab hosh mai aayen
jb hum hamesha k liye khamosh ho jayen

(58)


Kaun Kheta hai ke judai hogi ,
yeh khabar kisi gair ne udai hogi.
shann se rahenge dil main tumahre,
akhir kuch jagha humne bi to banai hogi.

(59)


Paane Se Khone Ka Maza Kuch Or Hai...

Bandh Ankhon Main Rone ka Maza Kuch Or hai..

Ansoo Bane Lafz Aur Lafz Bane Ghazal....

Or Uss Ghazal Main Tera Naam Hone Maza Kuch Or Hai...

(60)


Mehfil Na Sai Tanhai Tu Mili Hai
Milna Na Sahi Judai To Milti Hai
Kon Kehta Hai Muhabat Main
Kuch Nahi Milta
Wafa Na Sahi Bewafai Tu Milti
Hai

(61)


Apni hi Zaat ka Irfaa'n na hua Insaan ko
Khak phir khak thi fir bhi gyan na huaa insaan ko.

(62)


Kash wo nagme sunaye na hote
Aaj unko sunkar ye Ansu aaye na hote
Agar is tarah bhul jana hi tha
To itni gehrai se dilme samaye na hote.

(63)


Apne pyar ko chupana chaha par chupa na sake,
diwane dil pe kabu hum pa na sake,
aaj itne karib se gujar gaye wo,
phir bhi unka hath hum tham na sake

(64)


kabi to ye dil zaror rota hai,
jab koi apna mil kar nazron se door hota hai,
kyon roti hai kambhat ankhai,
kyun k dil se zyada inka hi kasoor hota hai.

(65)


hum ko bhool pao ge kaisay dil sey hamain bhulao ge kaisay
hum to wo khushboo hain jo sansoo mei rahte hai
apni sansoon ko rok pao gey kaisay

(66)


zindagi kya thi kaya bana di main ne. har khushi apni
us pe luta di main ne. us ne kabhi bhi apne dil ki na kahi
dil ki har bat bata di hum ne


If you like my work please Comment here i feel better

pembroke pines locksmith

It would be interesting to see what happens to Libwe Jalawe, if he writes to the address. If the college is bound by rules laid down by bureaucrats, the chances are slim indeed. It is a pity that in the IT sector where you can find school drop outs succeeding like Bill Gates, and Steve Jobs, qualifications assume such importance.


Cure Adult Acne

Acne treatments consist of reducing sebum production, removing dead skin cells, and killing bacteria with topical drugs and oral medications. Treatment choice depends upon whether the acne is mild, moderate, or severe.

http://www.cureforadultacne.com/

Alternative treatments for acne focus on self care: proper cleansing to keep the skin oil-free; eating a well-balanced diet high in fiber, zinc, and raw foods; and avoiding alcohol, dairy products, tobacco, caffeine, sugar, processed foods, and foods high in iodine, such as salt.

Be-laugh(Haste raho)

on Monday, May 11, 2009




(1)
Man:- patni se gusse me ham ye flat khali karenge.

Patni:- par baat kya hai
pati :- gusse men baramde mai apne flat ke maalik ka beta chilla-2 ke kah raha hai ki is flat mai
sirf ek ko jhod ke sabhi auraton ke sath uske sareerik
sambandh hai.

Patni :- fir to jaroor vo 4 Number bali seema hogi.


(2)


Lab khamosh ho jate hai,

ab tum samne aate ho,

dil dhadakte hai

jab nigah milate ho,

saans rukti hai jab muskurate ho,

BHOOT ho kya?

jo itna darate ho???


(3)


How to kill a mosquito:

Catch it alive,

tie its legs then make
gudgudi on its stomach

and when it laughs,Catch its

mouth and pour a spoon of poison..

NOW… Can you do this ???


(4)



Chandme Dekha To Aap Dikhe,

Badalme Dekha To Aap Dikhe,

Taaronme Dekha To Aap Dikhe,

Arey Yaar Thoda Sideme Ho Jao

To Kuch Aur Bhi Dikhe…


(5)


I Like You Utna,
U Like Me Jitna,
I Like U Tabse,
U Like Me Jabse,
I Like U Tab Tak,
U Like Me Jab Tak,
U Like Me Jane Kab Tak,
But I Like U Marte Dam Tak..


(6)


Paani mein whiskey milao ta nasha chadta hai.
Paani mein Rum milao to nasha chadta hai.
Paani mein brandy milao to nasha chadta hai.
Saala paani mein hi kuch gadbad hai.

(7)


Kya Aankhein Kya Surat Kya Chehra Aapne Paya Hai,
Jaise Peeple Ke Pedse Bhoot Utarke Aaya Hai,
Bura Laga?
To Wapas Ped Pe Chad Jao…

(8)


Next Generation sholay dialog-
Mom: Beta so jaa warna gabbar aa jayega..
Son: 100 rupya do warna papa ko bata dunga ki mere sone ke baad kon gabbar aata hai..


(9)


Is Qadar Imtehaan Na Lo,
Kyon Ho Khafa Bayan To Karo,
Kar Do Maaf Agar Ho Gayi Ho Khata,
Yun Gifts Le Lekar Barbaad Na Karo…

(10)


Biwi ne bade pyarse patike gale me baahein daali aur pucha:

kaisa lag raha hai ji?


Pati: jaise bhagwan shankarke galeme naag lipte ho…

(11)


Aman To Chaman: Tell Me 5 Animals Living In Water?
Aman: Hmmm…..Fish.
Chaman: Thik Ha Aur Chaar?
Aman: Fish Ke Brother, Sister Father And Mother…

(12)


INTERESTING FACT:

A Woman Worries Until She Gets A Husband,

A Man Never Worries About The Future Until He Gets A Wife…

(13)

Jab tumhari yaad aati hai to lagta hai

har patthar pe likhu ‘I MISS U’

aur har patthar tumhe maaru,

taaki tumhe pata chale ke har yaad me kitna DARD hota hai

(14)

GIRL:I LOVE U.
BOY:Me Too.
GIRL:Kitna Karte Ho.
BOY:Jitna Tum Mujhe Karti Ho.
GIRL: KAMINE,Main Sochti Thi Ki Tum Sachha Pyar Karte Ho

(15)

Dil Hai To Pyar Hai,
Pyar Hai To Ishq Hai,
Ishq Hai To Mohabbat Hai,
Mohabbat Hai To Dard Hai,
Dard Hai To Hum Hai,
Hum Hai To Phir……… Kya Gam Hai???

(16)


Gandhiji Bhi Chale Gaye,
Nehruji Bhi Chale Gaye,
Bhagat Sing Bhi Nahi Rahe,
Meri Bhi Tabiyat Thik Nahi Rehti Hai
Pata Nahi Is Desh Ka Kya Hoga…

(17)


Saali is Beauty, Wife is Duty

Saali is Pension, Wife is Tension

Saali is Yummy, Wife is Vehmi

Saali is Pataka, Wife is Dhamaka

Saali is Cool, Wife is Fool

Saali is Tooti - Fruity, Wife is Kismat Futi

Saali is Fresh cake, Wife is earth QUAKE


(18)


Khudane Jab Tujhe Banaya Hoga,
Confusion Ka MoMent Aaya Hoga,
Kabhi Monkey To Kabhi Donkey Banana Chaha Hoga,
End Me Donoka Mix Pasand Aaya Hoga…

(19)


Jab TuM Is Duniya Se Jaoge
Aur Dur Kahin Ek Naya JanaM Paoge,
Is Baar Jo Hua So Hua,
Agli Baar 1 LaMbi Pooch
Aur 4 Tange Paoge…


(20)

mohabat to ham ne bhi ki thi mere dosto
lekin kuch khas nahi hua
taj mahal to hum bhi bana chahte the
lekin loan pas nahi hua


(21)

L———-
O———
V———
E———

L=loss of money.
O=out of mind.
V=vaste of time.
E=end of life.

so dont’t LOVE.
ONLY LINE MARO………….

(22)

Hum Bigadte Hai To Bhuchaal Aajata Hai,
Hum Machalte Hai To Toofan Machal Jaata Hai,
Humko Na Karo Koshish Badalneki,
Hum Badalte Hai To ITIHAAS BADAL JAATA Hai…


(23)

Khuda Kare Tera Mobile Kho Jaye,
Mile Mujhe Aur Mera Ho Jaye,
Sms Karun Ladkiyonko, Naam Tera Aaye,
Maar Tujhe Pade Aur Kaleja Mera Thanda Ho Jaye…


(24)


Shaadi k pehle: Darling!! tum nahi to mai nahi… Aur mai nahi to tum nahi…
Shaadi k baad: Aj ya tu tum nahi ya mai nahi!

(25)

anso tumare niklein ankhein meri ho
dil tumara dhadk dhadkane meri ho

khuda kare

humari dosti itni gahri ho
nokri tum karo salary meri ho…..

(26)

apni shakal pe gharur mat kar itna
sab do din ki masti hai
teri shakal surat tab tak kayam hai
jab tak cherry blossom sasti hai…..

(27)

Meri yaad aye: yaad karo
Zyada aye : sms Karo
Ussey zyada aye : phone karo
Ussey bhi zyada aye to millo
Ager ussey bhi zyada aaye
.
to
.
Plz jhoot bolna band karo…..

(28)


Ques: India Ka Sabse Bada Pralay Ka Din Kaunsa Hoga?
Ans: Jis Din Raakhi Aur VALENTINES Day Ek Sath Ayega…

(29)


Hum dua karte hai khudase ke
Wo aap jaisa dost aur na banaye,
Ek hi cartoon jaisi chiz hai hamare paas
Kahin wo bhi common na ho jaye…


(30)


Khuda kare tujhe khushiyan hazaar mile
Mujhse bhi achcha yaar mile
Meri girlfriend tujhe bandhe RAKHI
Aur ek AUR behan ka pyaar mile…
Happy RAKSHA BANDHAN

(31)


Aapki charcha hai har gali mein
Har ladki ke dil mein aapke liye pyaar hai
Yeh koi chamatkar nahin
Time hi kuch khaas hai galat mat samjhna meredost
Kuch hi dinon mein * * RAKHI ka tyohaar hai…

(32)

Ek doctor ke clinik ke bahar marijo ki line lagi thi
jab koi admi aagejatatologuse pakad kar pichhe
kheench lete ek admi kai baraage jane ki koshis ki
par logo ne use bhi piche khich liya 5-6 bar khiche jane ke bad vo admi chillaya kambakhto .lageraholine mai
mai bhi aaj clinik nahi kholunga.

(33)

If a girl laughs ,she is merry,
If a boy laughs ,he is mannerless.

If a girl talks ,she is decent,
If a boy talks,he is a chatterbox.

If a girl likes silence ,she is serious,
If a boy likes silence ,he is dull.


(34)

Wo jab chalti hai to rahonme 100-100 ke note bichha deta hoon,
wo jab chalti hai to raahonme 100-100 ke note bichha deta hoon,
Uske jaane ke baad phir utha leta hoon…

(35)

Dilke dard ko zubanpar late nahi,
Hum apni aankhonse aansu bahate nahi,
Zakham chahe kitne bhi gehre kyon na ho,
Hum dettol ke siwa kuch aur lagate nahi…

(36)

Ghoda jo khaye wo ghaas ho tum,
budhe ka chawanprash ho tum,
idiot stupid bakwas ho tum,
par jo bhi ho jhakkas ho tum…

(37)

Judge: U r crossing the limits.
Lawyer: Kaun Saala aisa kehta hai?
Judge: How dare you call me saala?
Lawyer: My Lod, I said kaun ’sa Law’ kehta hai?

(38)

Exams ke 4 din pehle syllabus dekha to yaad aaya,
Kuch To Hua Hai Kuch Ho Gaya Hai,
Exams ke din paper dekh kar yaad aaya,
Sab Kuch Alag Hai Sab Kuch Naya Hai

(39)

Once someone sent sms 2 person
“Bhejnewala mahan padhnewala gadha.”
person got angry and replied
“Bhejnewala gadha, padhnewala mahan.

(40)

Similarity between Gandhiji & Mallika?
Dono NE kapde tyag diye,
Ek NE desh ke liye,
Doosre NE Deshwasion ke liye!

(41)

1980 girls: Maa mei Jeans pehanungi
Maa : Nahin beti log kya kahengey ?
2006 girls: Maa mein mini skirt pehanungi
Maa: Pehen Le beti kuch to pehan Le!

(42)

Arz kiya hai…..(Irshad to bolo)
Teri zulfon me kho jana chahta hu,
Teri zulfon me kho jana chahta hun,
Par tu tel itna lagati hai ke chadhta hun or fisal jaata hoon.

(43)

Jo Muddat Se Hota Aaya Hai,
Woh Repeat Kar Doonga...
Tu Naa Mili To Apni Zindagi
Shif+Delete Kar Doonga...

(44)

Shayad Mere Pyar Ko
Taste Karna Bhool Gaye....
Dil Sey Aisa Cut Kiya
Ke Paste Karna Bhool Gaye...

(45)

Aisa Bhi Nahin Hai Ke
I Don't Like Your Face...
Par Dil Ke Storage Mein
No More Disk Space...

(46)

Mohan: Ladkiya sharab se itni nafrat kyun karti hai?

Sohan: Kyun ki isko pine ke baad unke chue jaise pati shero jaise bartab karne lagte hai!!!

(47)

Beta papa se: Papa main itna bada kab ho jaunga ki mummy se bina poochey ghar se bahar ja sakoo.

father-son.jpg

Papa thandi saans lete hue: Beta, itna bada toh abhi main bhi nahi hua hoon.

(48)


A sardar is sing a patriotic song "ey mere batan ke logo jara ankh mai bhar lo paani
jo saheed huye hai unki tussi ghar le aao janaani"

(49)


A grl in a wedding ceremony want 2 go 2 do toilet.
she asked a sardar, sardarji su su kernay ki jaga dikhao.
sardar replied unnaughty girl pehlay tum dikhao.