Dard - e- shayri

on Wednesday, April 8, 2009




(1)

Kitna Bhi Chaho Na Bhul Paoge Hume,
Jitni Dur Bhi Jaoge Najdik Paoge Hume
Mita Sako To Mita Do Yaade Meri,
Kya Apne Sapno Se Juda Kar Paoge Hume

(2)

Jab hum ho tanha to sath rehna,
Roye aakhe to aansu poch lena
jab tak zinda hai tab tak hi staenge,
Vada hai ke marne ke bad to yaad bhi nahin aaenge.

(3)

Ye jo pine pilaane ki bat karte hai
Inse keh do ki kabhi ham bhi piya karte the
Jitna pikar vo behak jaate hai
Utna to ham paimane mai chhod diya karte the

(4)

Humse koi Gila ho jaye To Maf karna
Yaad Na kar paye To Maf krna
DilSe to Hum Aapko kabhi Bhulate Nhi
Par Ye Dil Hi Ruk Jaye To Maf Krna

(5)

Aaj Bhi Ek SawaL Hai Is diL Mein,
Pyar Ka Gam Beshumar Hai Is diL Mein,
Kuch Keh Nahi Pata Ye diL Magar,
Kisi Ke Liye Bahut Pyar Hai Is diL Mein.

(6)

Pyar kya hota hai hum nhin jante !
Zindgi ko hum apna nhin mante,
Gum itne mile ki ehsaas nhin hota,
koi hmse pyar kare vishvaas nhin hota..!!

(7)

Ek muskan tu muhje ek baar de de
khwab mein hi sahi ek deedar de de.
Bas ek baar kar le tu aane ka wada
phir Umar Bhar ka chahe intezar de de.

(8)

Jisne chot na khai ho, wo chehra kya pahchanega,
Dil ka hal to yaaro koi dil wala hi janega.

(9)

BHOOLANA TO CHAHA PER BHOOLAYA NAHI,
HUM NE WAASOU SE APNA DAMAN CHURAYA NAHI,
JUDA TO HUE PER MILNE KI TAMANNA BAQHI HAI,
ISI LIYE DIL KISI OR SE LAGAYA NAHI HAI….

(10)


APNI TO ZINDAGI HI AJEEB KAHANI HAI ,
JIS CHIS KO CHAHA WO BEGANI HAI ,
HASTE HAI TO SIRF DUNIYA KE LIYE ,
WARNA IN ANKHO MAIN TO SIRF PANI HI PANI HAI…

(11)

Ek pal ka saath aapka dil choo jata hai,
jaane ke baad aapke yeh pal bohot yaad aata hai,
dil na jane kyu samajh nahi pata hai,kaise koi ajnabi apna ban jata hai.

(12)

Yaad mein teri aankhe bharta hai koi,
har saans ke saath tujhe yaad karta hai koi,
maut to sachai hai aani hai,
lekin teri judaai mein har roz marta hai koi….!

(13)

Tari hatopay mahandi lagaygi to mari namki hogi.
Doli tari ruksat hogi to mari gharpay rukaygi
Isi umid liya zinda rahangay martaydamtak.
Kyon ki mujhay yakin hai tu akdin jarur ayagi.

(14)

Jis subha tari yad na aya………
Khuda karay ayasi subha na aya
Ya kabhi mumkin nahi kay
Dil dharkay ar tara yad na aya.

(15)

Aaj To Hum Maut Ki Dua Kar Ke Roye Hain
Dobara Aaj Khuda Se Gila Kar Ke Roye Hain
Kyon Na Likh Saka Tu Us Ko Taqdeer Mein Meri
Yeh Aik Khayal Soch Kar Phir Hum Roye Hain.

(16)

Sapne Ki Tarah Aakar Chale Gaye
Gamo Ki Neend Sulakar Chale Gaye
Kis Bhool Ki Saza Di Humko??
Pehle Hasaya Aur Fir Rulakar Chale Gaye. Hum ko to muskranay ki Aadat si hai
Ansoon ko Chupanay ki Aadat si hai
Duwa na hi Dawa Kaam kerti Hai hum per..
Ab to Zakhm Khanay ki Aadat si Hai..

(17)

Paane se khone ka maza aur hai
Bandh aankhon main rone ka maza aur hai
Aansoo bane lafz aur lafz bane ghazal
aur uss ghazal main tere hone ka maza aur hai

(18)

Dard Ki Barish Sahi Maddham Zara Aahista Chal,
Dil Ki Mitti Hai Abhi Tak Nam Zara Aashista Chal,

Tere Milne Aur Phir Tere Bichhad Jane Ke Bich,
Faasla Ruswai Ka Hai Zara Aahista Chal,

Apne Dil Hi Mein Nahi Hai Uski Mehrumi Ki Yaad,
Uski Aankhon Mein Bhi Hai Shabnam Zara Aahista Chal,

Koi Hi Ho Humsafar Na Ho Khush Is Qadar,
Ab Ke Logon Mein Wafa Hai Kam Zara Aahista Chal….

(19)

Meri gali se wo ja b bhi gujarta hoga
Mod pe jaake kuch der thaharta hoga
Bhool jaana mujhko itna aasaan to na hoga
Dil main kuchtoot ke to bikharta hoga
Saath dekhe the Jo un khwabon ka kaarwaa
Gubaa bankar uski aankho me ubharta haga
Koi jab choomta hoga use baanho me lekar
Mera pyar badan me uske siharta hoga
Uski julfon ko meri ungliyan dulaarti hongi
Saamne aaine ke wo jab bhi sanwarta hoga
Dard jab bhi deta hoga ye sangdil zamaana
Wo bewafa is “maan” ko yaad karta hoga

(20)

lamho mein jo kat jae wo kya jindagi
aansuo mein jo beh jae wo kya jindagi
jindagi ka to falsafa hi kuch aur hai
jo har kisi ko samajh aae wo kya jindagi

(21)

Unhone dekha aur aansu ghir pade,
bhari barsaat me jaise phul bhikar pade,
dukh vo nahi ki unhone hume alvida kaha,
dukh tho ye hai ki uske baad vo khud ro pade…

(22)

Teri yaad

Teri yaad se rishta kal bhi tha
teri yaad se rishta aaj bhi hai,,

Dil apna dukhta kal bhi tha
dil ye udaas aaj bhi hai,,

Jo pyar hum tum karte they
woh pyar to zinda aaj bhi hai,,

Hum bichad gaye is doori mein
tum door ho majboori mein,,

Kabhi waqt mile to chali ana
khula dil ka darwaza aaj bhi hai,,

Na sataao, na tadpaao….. .
na mehfil mein yu tanha chodo,

Teri yaad me jaage kal bhi they,
teri yaad me jaage aaj bhi hain……



If you like it Please comment me i feel better

0 comments:

Post a Comment