Friendship Shayri

on Wednesday, April 8, 2009


+ Yaaran di mehfile +

(1)

Wo kahte hain k saari raat
aap hume sone nahi dete,
hum kehte hai k apka noor he aisa hai
k aap hamari raat hone he nahi dete.


(2)

Aye dost teri dosti uss ghaditadpaayegi,
Jab zindagi kahegi alvida, Aur maut bhi naa aayegi ! …

(3)

Ab na koshish karenge unhe bulane ki,
jinki adat hai bin baat rooth jaane ki.
vo chahe to bhool jayein humein sapna samaj kar,
magar hamein adat nahin apno ko dil se bhulane ki.

(4)

Raatein gumnaam hoti hai,
Din kisike naam hota hai,
Hum zindagi kuch is tarah jeete hai,
Ki har lamha doston ke naam hota hai !

(5)

Tumse doori ka ehsaas sataane lagaa,
Tere saath guzaraa har lamha yaad aane laga,
Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki aye dost,
Tu dil ke aur bhi kareeb aane laga !

(6)

Zindagi nahin humein doston se pyaari,
Doston pe haazir hai jaan hamaari,
Aankhon mein hamaari aansoon hai toh kya,
Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari !

(7)

Jasbaate ishq naakaam naa hone denge,
Dil ki duniya mein kabhi shaam naa hone denge,
Dosti ka har ilzaam apne sar par le lenge,
Par dost hum tumhe badnaam na hone denge !
Dosti achchi ho toh rang laati hai,
Dosti gehri ho toh sabko bhaati hai,
Dosti naadaan ho toh toot jaati hai,
Par agar dosti apne jaisi ho….
…. Toh itihaas banaati hai !

(8)

Dosti mein choti-choti baton se shikva na karna,
gila tab karna jab hum dosti tod dege
kyunki aisa tabhi hoga jab hum ye duniya chod dege.

(9)

Dil ki dhadkan dhadka gaya koi, mere khwabo ko mehka gaya koi, hum
to anjaane rasto par chal rahe the achanak hi pyaar ka matlab shikha
gaya koi

(10)

Rishto ne har qadam pe imtehaan liya,tanhai ne har mod pe dhokha diya.
Zindagi se phir b shikayat nahi Kyunki,Zindagi ne “Aap” jaisa dost bhi to

diya.

(11)

Hum umidon ki dunia basate rahe,Vo bhi har kadam par aazmate rahe.
Jab mahobbat k imtihaan mein marna pada,Humne jaan dedi aur vo

kasmein khaate rahe.

(12)

Mohabbat ki lahero pe kastiya chalane waale
zara sambhal ke, mohabbat dariya hai sahil nahi,
uthte hai kahi tofaan mohabbat ke samander me bhi,
ager us se lad na sako to tum mohabbat ke kabil nahi.

(13)

Jaan hai mujhko zindagi se pyaari,
Jaan ke liye kar doon kurbaan yaari,
Jaan ke liye todd doon dosti tumhaari,
Ab tumse kya chhupaana,
Tum hi toh ho jaan hamaari !

(14)

Tujhe dekhe bina teri tasweer bana sakta hoon,
Tujhse mile bina tera haal bata sakta hoon,
Hai meri dosti mein itna dum,
Apni aankh ka aansoon teri aankh se gira sakta hoon !!

(15)

Dosti toh sirf ek ittefaaq hai,
Yeh toh dilon ki mulaakaat hai,
Dosti nahi dekhti yeh din hai ki raat hai,
Isme toh sirf wafaadaari aur jasbaat hai !

(16)

Dost ek saahil hai tufaano ke liye,
Dost ek aaina hai armaano ke liye,
Dost ek mehfil hai anjaano ke liye,
Dosti ek khawaahish hai aap jaise dost ko paane ke liye !!

(17)

Dosti karna humein bhi sikhado zara,
us dil ke kone me humko bhi bithalo zara,
hum tumhare dil me hai ki nahi
hothon se na sahi isharo se bata do zara.

(18)

Karib se Tumhe Dekha to apna paya,
Jab Tumhe Dosti me Azmaya to apna paya,
Tumhe kya Naam dun Samajh mein nahi aata-
Dost, Pyar, Zindagi ya Mera Saaya.

(19)

Zindgi ki rahon mai bahut yaar milenge
Hum kya hamse bhi achhe hazir milenge
In achho ki bheed mai hamen na bhula dena
Hum kahan tumhe baar baar milenge

(20)

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.

(21)

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.

(22)

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

(23)

Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.

(24)

Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

(25)


Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi

(26)

Suraj paas ho na ho, Roshni aaspas rehti hai,
Dost paas ho na ho, Dosti aas pas rehti hai,
Waise hi aap paas ho na ho,
aapki Yaadein hamesha paas rehti hai!

(27)

Pyar kaho to Dhai Akshar,

Samajho to Bandagi,

ho jaye to Kismat,

nabha pao to Zindagi,

kisi ko aap dil se chahe aur wo apko utna hi chahe to

"JANNAT"

(28)

khusbu ki tarah meri sanso men rahna
lahu ki tarah meri nas nas mai rahna
dosti hoti hai riston ka anmol gahna
isliye ise kabhi albida na kahna.

(29)


maana ki pyar ka pehla akchhar adhura hota hai likin pa
ko nikal do to yaar rah jata hai or aap jaisa yaar ho to !
jindgi se bhi pyar ho jaata hai.

(30)

Love is an ATM CARD
Life is a CREDIT CARD
Wife is a VISA CARD
Lover is a DEBIT CARD
But FRIENDSHIP is a GOLD CARD
Keep it safe


God or a miracle



Website counter



A number of what it says as God or a miracle

0 comments:

Post a Comment